Monday, November 16, 2015

socho (image by john lenon in Hindi)

socho agar koi jannat hi nahin
markar wahan jaana hi nahin
na koi narak hai neeche
bas choone ko khula yeh aakash
socho sab log sab bhool kar
is lamhe mein kho jaayeein

socho apna koi des hi na ho
na ho koi sarhadein
marne na maarne ki koi wajah
na apne paraaye ka bhed
socho duniya ke sab log
bas sukoon se jiyeein

haan mein yeh khwaab dekhta hoon
par mein akela toh nahin
toh kyun phir hum sab milkar
yeh sapna sach kar dain

socho kya tum jee sakte ho
bina kuch bhi apna samjhe
na ho koi laalach na hi bhook
pait insaaniyat hi bhare
socho duniya ke sab log
sab mil baant ke raheinn....

haan mein yeh khwaab dekhta hoon
par mein akela toh nahin
toh kyun phir hum sab milkar
yeh sapna sach kar dain

No comments:

Post a Comment