Saturday, September 15, 2018

Ityaadi

Un andheri raaton mein, tumne diya sahara tha,
aankhen band karva ke meri, mujhko sapna dikhlaya tha,
us saath ka toh main, tahe dil shukraguzaar hoon,
tumhari udaarta ka rakhnewala hamesha mein abhaar hoon.

Tum mujhe kal pehchaan bhi na paoge,
bhoolna na chaho, toh bhi bhool jaaoge,
zindagi ki kashmakash mein yun ulajh jaaoge
ke kuch yaad rehjaye, bas yeh aas liye jaaoge

Is zakhm ko bhi kisi tarah si hi lenge hum,
kisi tark aur vivek ke dhaagon se,
prem ka jo nasha sa mehsoos kiya tha humne,
us se nikal hosh mein aa hi jaayenge

Kuch yaadon mein dooba ja raha hoon,
smrition ki lehron mein beh raha hoon,
tum bhi chal chalo mere sang us haseen samay mein,
sang bitaaye un yaadgaar lamhon mein

Inspired from the song "one year, six months" by yellowcard

No comments:

Post a Comment